Tuesday, 31 July 2012

Capital talk on Geo news

101 Responses to “Capital talk on Geo news – Engineer Agha Waqar and Dr. Abdul Qadeer khan – 31st july 2012”

Agar ek shakhs sab ko openly challenge kar raha hey to is main bar baraney ki kiya zaroorat hey, yeh jo itney arguments dey rahey hain, poori schience ki kitabein khol key rakh di hain, to jo aga ney kiya hey woh kiya hey, Dr Atta Talaat key programe main hans key tamskhar ura raha tha ki is gari ko 15 minutes tak chala key dikhao, phir Hamid mir key program main keh raha hey ki ho sakta hey ki 100 kilo meter tak chal jaye, Dr Shahb ko bhi apney aap par yaqeen nahin hey aur doosron ko bulaney ka keh raha hey.Hamid mir key sawaalon ka to Dr Atta jawaab na dey saka ki
(1) Aisey logon ko kiyon khatam kiya gaya jinhon ney is taraf koshish ki
(2) Aga challenge kar raha hey ki Dr Atta apni gari ley aye woh bhi chala key dikhaye ga
Dr Atta ney koi jawab nahin diya dono sawallon ka
Agha ney sahi thoki Dr Atta ki woh khud aa kar kiyoon nahin demonstration kartey, shayad us ko sharam aa rahi hogi ki kahan ek doctor aur kahan ek B tech.
Agha ney sahi kaha ki yeh Dr sahibaan jitney bhi hain inhon ney kiya kiya hey is mulk key liye sawaey loot maar karney key, is mulk ka koi aur nahin yehi asal gadar hain.
Main to Agha sahab ko yeh kahoon ga ki agar koi bahar ki company offer dey rahi hey to foran qabool kar lo, yeh qaom waisi bhi rehnghney ki aadi ho gai hey in ko kiya pata uraan ka, yeh apney aap ko iqbal ka shaheen kehtey hain, my foot.
Aik cheez ko sari duniya dekh rahi hey ki chal rahi hey, aur doosri taraf mukhalifeen theories parha rahey hain, jaisey woh theories aasman sey utri hain stupid. ab un ki theories par yaqeen kar liya jaye ya apni aankhon par yaqeen kar liya jaye.
Jo hashar inhon ney Dr Qadeer ka kiya us key samney Agha ki to koi haisiyat hi nahin hogi. yeh sarey un mafiyas key karindey hain yeh kabhi bhi nahin chaheingey ki yeh mulk kabhi apney paoon par khara ho sakey. aur ajeeb baat yeh bhi hey ki is bandey ka taluk ek aisi jaga sey hey jahan sey kisi ko bhi nahin bardasht kiya gaya. phir aga sahab chaley jao is gandey logon sey door, wahan aap ko sar aankhon par bithaengey, phir wahan sey in garib mulkon ko export karna gariyaan takey in muflis logon ki zindagi main kuch aaraam aye.

Agree or disagree:?

No comments:

Post a Comment